ma

Khuda ki rehmat ko bhi chahu to kuch panktiyo me likh du

Magar apki kurbaniya angeenat, inhe gin kar likh du kese

Apki ungliya pakar kar chalna sikha hai, apki nazro se dekha hai duniya ko

Ab khud ko chalak samjhne laga hu, apni bewkoofiya likh du kese,

Apke hisse se khaya hai ma or kisi se kuch liya nahi

Utar paunga kese ye karz apka, aaj tak to apko kuch diya nahi

Apse dhani ma koi hoga kese, or mujhsa nirdhan koi hai nhi
Bina mange puri har khwahis ki, ni-svarth aap sa or koi hai, kaha khi

Apke anchal ki chanv se dur hokar wo khuda bhi roya hoga

Kese bhla dur hokar apse wo soya hoga…

अधूरी कहानी!!

Hum to teri nazroo me rehna chahte the

Tere khwabo me ane ki umeed na thi

Hum to teri batoo me rehna chahte the

Tere dil ki raah malum na thi..

Khus the hum dur beshak, teri khusi hi to chahte the

Sath mere tujhe dukhi dekhne ki chahe na thi

Ye to rehmat thi khuda ki jo nawaza sath se tere

Magar ite nazuk hote hai rishte inhe sambhalne ki samjh na thi..

Darta tha me khud se, hat jata tha piche tabhi

Magar tujhme bhi iti samjh kaha thi..

Aakhiri din bhi tha bhut kuch kehne ko, lekin kehta to kese

LIKHNA ATA THA JAZBATO KO MUJHE UNHE KEHNE KI SAMJH NA THI

Sahil sehrawat